* khushi si milti hai khud ko aziyatein dekar,
so jaan buhj ke dil ko nidhaal rakhte hai,
kabhi kabhi woh mujhe hans ke dekhte hai,
kabhi kabhi mera behadd khayal rakhte hai,
tumhare hijr mein yeh haal ho gaya apna,
kisi ka khat ho use bhi sambhal rakhte hai,
khushi mile bhi tou tere baad khush nahin hote,
hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hai,
zamane bhar se bach ke woh apne dil mein,
mere wajood ke tukde sambhal rakhte hai,
kuch iss liye tou behaal ho gaye hum log,
tumhari yaad ka behadd khayal rakhte hai......
Yakeen pe yakeen dilate hai yeh dost,
Rah chalte ko pagal banate hai yeh dost,
Orange Mango khilate pilate Kuch nahi dost,
Bas naam sunaker lubhate hai yeh dost,
Phir bhi bahut pyare lagte hai yeh dost..
Hum Jaise Barbaad Dilon Ka,
Jeena Kya Aur Marna Kya,
Aaj Teri Mehfil Se Uthey Hain,
Kal Duniya Se Uthh Jaayenge
Jab kisi ka dil toot jata hai to wo jism reh jaata hai,
Rooh nikal jaati hai,
Jis tarha murjhane ke baad phool to reh jaata hai,
Khushboo nikal jaati hai
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
Tab tab unko mera khayal aaya hoga,
Gam ye nahi hai ki woh bhool gayae humko,
Gam yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!
Tamam zindagi hum khushi se door rahe,
Khushi hote huwe bhi khushi se door rahe,
Hamari wafaon ki isse badi saza kya hogi,
Tere hote hue bhi tujh se door rahe.